Hindi Story for Kids – Kal ki Chinta (Worry About Future) ki kahani me aaj padhiye ye hindi story with moral children/students/kids ke liye hai:
Aek nagar ka seth apaar dhan sampada ka swami tha. Aek din use apni sampatti ke mulya nirdharan (wealth analysis) ki ichchha huyi. usne turant apne lekhadhikari (Accounts officer) ko bulaya aur aadesh diya ki meri sampurn sampatti ka mulya nirdharan karke detail bataiye jisase pata to chale ki mere paas kul kitni sampada hai.
Ak week baad lekhadhikari details ke saath seth ji ke paas aaya. Seth ne puchha – kul kitni sampatti hai? Lekhadhikari ne kaha- Sethji mote taur par kahu to aapki 7 generations bina kuchh kiye dhare pure aiso aaram se jee sakti hai, itni sampatti hai aapki.
Another Story in Hindi: A Hindi Story – Saath Barabari Ka
Lekhadhikari ke jaane ke baad seth chinta (worry) me doob gaye, ‘ to kya meri 8th generation bhukhon maregi?’ wo raat-din chinta me rahne lage. Tanavgrast rahte, bhukh na lahgti, kuchh hi dino me bahut kamjor aur patle ho gaye. Unhe is haalat me dekhkar sethani ka maatha thanaka. wah unhe ak sant ke paas le gai.
Sant ne samasya samajhi aur bole, iska to hal bada hi aasaan hai. Dhyan se suno seth, basti ke aek kinare par aek budhiya rahti hai. Akdam kangaal aur vipann. Na to uske paas koi kamaane wala hai aur na hi wah kuchh kama paane me samarth hai. Use matra Adha Killo (Half Kg) aata daan me de do. Agar wah yah daan sweekar karle to itna punya uparjit ho jayega ki tumhari samast manokamna purn ho jayegee.
Ghar pahunchkar sewak ke saath kwintal(100 Kg.) bhar aata lekar seth budhiya ke jhopde par seth pahuncha.
Seth bola- mataji mai aapke liye aata laya hu ise sweekar kijiye.
Budhiya ne kaha – beta aata to mere paas hai mujhe nahi chahiye.
Seth ne kaha- fir bhi rakh lijiye.
Budhiya ne kaha- kya karungi rakh ke, mujhe jarurat nahi hai.
Seth ne kaha – achchha itna nahi to adha killo hi rakh lo.
Budhiya ne kaha- beta aaj khane ke liye jaroori aadha killo aata pahle se hi mere paas hai mujhe atirikt (extra) ki jaroorat nahi hai.
Seth fir bola- to fir ise kal ke liye rakh lijiye.
Budhiya ne kaha – beta kal ki chinta mai aaj kyo karu, jaise hamesha prabandh hota hai kal ke liye kal prabandh ho jayega.
Moral of Hindi story for kids – कहानी से सीख क्या मिली
Seth ki aankh khul chuki thi. Aek garib budhiya kal ke bhojan ki chinta nahi kar rahi aur mere paas athah dhan manpatti hote huye bhi mai 8wi pidhi ki chinta me ghula ja raha hu.
Seth ko samajh me aa gaya ki Meri chinta ka kaaran aabhav nahi trishna hai. Santosh me hi shanti aur sukh nihit hai. Hindi short stories with moral values.
कृपया ध्यान दें :
यदि Hindi Story for Kids कल की चिंता में या इस जानकारी में कुछ mistake लगें तो हमें कमेंट जरूर लिखे हम update करते रहेंगे. आपका शुक्रिया!
– आशा है आपको हमारी Moral Hindi Story for Kids कल की चिंता पसंद आई होगी तो आप हमें Facebook पर Like और Share कर सकते है.
Please Note: अभी Email Subscribe करके All Hindi story with moral for children और Latest Hindi-Quotes.in’s Updates पायें अपने Email.-