बच्चों की कहानियां | Hindi kahaniya for child

Aaj ham aapke liye 2 Hindi kahaniya for child publish kar rahe hai jinse aapke bachho ko seekh bhi milti hai:

Hindi-kahaniya-child | Bachcho-ki-kahaniya-hindi

Pahli Kahani in Hindi: Mehnat, lagan aur sankalp shakti – Ek Hindi kahaniya for child

Bahut samay pahle Landon ke ek gaunv ki basti me  ladka rahta tha. Wah anaath tha. Wah newspaper aur raddi cheeze bechkar apna guzaara karta tha. Kuchh samay baad use ek zildsaaz ki dukan par zild chadhane ka kaam mil gaya. Us ladke ko padhne ka bahut shaukh tha. Wah books par zild chadhate samay important baten aur jaankariya padhta rahta tha. Ek din zild chadhate samay uski nazar ek vidyut sambandhi lekh par padi. Use yah lekh bahut hi rochak laga.

Hindi Kahaniya with Moral padhiye : 2 Short Hindi Stories with Moral values

Book ka uske uske upar gahra asar pada aur uski prayog karne ki jigyasa badhti gayi. Dheere-dheere wah adhyayan & parikshan ke liye vidyut sambandhi chhoti moti cheeze idhar udhar se jutane laga.

Ladke ki is baare me ruchi ko dekhkar ek grahak usse bahut prabhavit huwa. wah khud bhi science me gahri ruchi rakhta tha. Ek din wah ladke ko apne sath Physics ke vidwan Devi ka lecture sunaane le gaya. Ladke ne Devi ki baate dhyan se suni aur note bhi kiya.

Iske baad ladke ne unke lecture ki sameeksha karte huwe apne kuchh paramarsh likhkar Devi ke paas bhej diya. Devi ko balak ki salah bahut pasand aayi. Unhone use apni machines vyavasthit karne ke liye apne paas rakh liya. Ladka unke saath rahne laga, wah unke sahyogi aur naukar ki bhumika nibhata raha.

Wah din bhar kaam me busy rahta aur raat me padhai karta. Thakaan hone par bhi uske chehre par shikan tak nahi aati thi. Wah bhautiki/physics ki field me khaskar vidyut ki field me bahut kuchh karna chaht atha. Aakhir me usne apni mehnat aur sankalp se apna sapna pura kiya. Wah ek mahan vaigyanik/scientist ban gaya.

Aaj duniya us ladke ko Michael Faraday ke naam se janti hai.

Bachon ki kahaniya in hindi bhi padhe:

A Hindi story for Kids – Bachcho ki kahaniya in hindi
Bachcho Ki Kahani – Hindi Story for Kids

Hindi Kahani se Seekh (Moral of Hindi story):

Mehnat, lagan aur sankalp shakti se bade bade lakshya ko hasil kiya ja sakta hai.

Dusri Kahani Hindi me: Hamse badhkar desh – Ek Hindi kahaniya for child

Raja Ram Mohan Ray ne bharat desh ki seva me apna jeevan samarpit kar diya tha. Raja Rammohan Ray ka manna tha ki agar bhartiya samaj se kuprathao aur andh viswas ko jad se khatm karna hai to dunia ke saath kadam se kadam milakar chalna padega. Bhartiyo ko Angreji (English), Vigyan (Science) aur Takniki (Technology) ki kshiksha/education bhi hasil karni hogi.

Unka sapna tha ki Kolkata me ek aisa collage khola jaye jisme desh ki new generation advance level knowledge parapt kare.

Ye bhi padhe: Board Exam ki Taiyari Kaise kare

Iske liye shahar ki jani mani hastiyo ki baithak bulayi gai. Baithak me Raja Rammohan Rai ke kafi saare samarthak aur kuchh virodhi log bhi upasthit the. Collage kholne ke liye paisa collect karne aur prabandh samiti banane par chahrcha shuru huyi. Kisi ne RammohanRai ko prabandh samiti ka adhyaksh banaane ka prastav rakh diya.

Is prastaav par unke virodhi ukhad gaye. Unka kahna tha ki Ram Mohan Rai ko prabandh samiti ka sadasya banaya gaya ya unse ek paisa bhi is collage ke liye liya gaya to we ye collage khulne nahi denge. Raja Rammohan Rai chahte to is prabandh samiti me aasani se aa sakte the aur collage khulwane ka saara shrey le sakte the. Parantu unhone isse hatne ka faisala kiya.

Ek din jab unke ek friend ne iska karan punchha to unhone kaha ki- ‘mai prabandh samiti me rahu ya na rahu, mahatwapurn hai ki collage khul raha hai jisme shiksha prapt karke, naye vicharo ke saath, yuvak desh ki seva karenge aur desh ka naam uncha karenge. Mere leye khud se badhkar desh ki unnati hai.’

Anya Hindi Kahaniya bhi padhe:
Sachcha Sunar Hindi me kahani

Hindi Me Kahani – Dosti Barabari ki Achhi

Raja Rammohan Rai ka sapna poora huwa aur college khula, jo baad me Presidency Collage of Culcutta ke naam se prasiddh huwa. Aage chalkar Netaji Subhash Chandra Bosh bhi kuchh samay ke liye iske pradhanacharya / principal rahe the.

Hindi kahani se seekh / Moral of Hindi Story:

Hame apne matbhed bhoolkar desh ke vikas me apni shakti lagani chahiye.

Dosto!
Bachon ki kahaniya in hindi me पब्लिश की लेकिन उनको इंलिश के शब्दों में लिखा है हम आपके सुझाव जानना चाहते है की आप हिंदी में ही लिखा हुवा पसंद करते है या आपको इस तरह से इंग्लिश में पढना अच्चा लगता है.

कृपया कमेंट करके बताये और इन कहानियो को शेयर भी कर सकते है.-

1 thought on “बच्चों की कहानियां | Hindi kahaniya for child”

Leave a Comment

जन्माष्टमी पर भगवान श्री कृष्ण से जुड़े ये शुभ & कारगर उपाय जो किस्मत बदल सकते हैं .